Mark Zuckerberg Or Facebook Ka Safar Success Story Hindi Mai Jaane

Share:
Mark Zuckerberg or Facebook ka Safar Success Story in Hindi..




Hi Guys, is post me main aapke sath facebook ke founder Mark Zuckerberg ki success story share kar rha hoon ki kaise unhone duniya ke sabse bade social network ki shuruaat ki. Mark Zuckerberg duniya ke sabse yuva billionaire hai. To fir aaiye jante hai Mark Zuckerberg ki success story ke baare me
Zuckerberg ka pura naam hai- Mark Elliot Zuckerberg. Mark ka janam 14 may 1984 ko New York me hua tha. Ve 4 bhai behan the aur mark inmen se akele ladke the. Inke pita ek Denstist the aur inki maa ek manochikitsak. Mark ko programming ka shauk bachpan me hi ho gya tha. Unki programming me ruchi tab bani jab unhen 10 varsh ki umar me unka pehla computer liya.

Unhen programming languages ki basic jankaari unke pita ne unhen di, isse unhone 12 varsh ki umar me ek messenger ka nirman kiya jiska naam tha- ‘ZuckNet‘. Unke pita ne ye messenger apne dentist office ke computer me install kiya, jab bhi koi patient aata to receptionist unhen is messenger ke jariye inform kar deta tha.

Mark ne aur bhi bahut saare games aur communication tools ka nirman kiya, ve yeh kaam kewal apne maje ke liye karte the. Unke pita ne unki programming languages me jyada ruchi ko dekhker unke liye ek computer tutor ko bhi hire kiya jo mark ko programming languages ke baare me lessons deta tha.

Jab mark apne high school me the to unhone Media players ke liye ek aise software ka nirman kiya joki users ki ruchi ke hisaab se unke aage songs present karta tha. Microsoft jaise company is tool ko kharidna chahti thi, lekin Mark ne ise thukra diya aur usne un companies ke sath bhi kaam karne se mna kar diya jo ki mark ko apni company me kaam dene ke liye taiyaar thi...


Aa Sab Bhi Padhe..
Cricket Me Use Hone Wali Top 10 Technology Ke Bare Hindi Mai 

VPN Kya Hai Android Phone Mein VPN Kaise Use Kare

Internet Ki Speed Fast Kaise Kare – Tricks Hindi Me

Mark Zuckerberg Se Hame Kya Sikh Milti Hai Or Mark Zuckerberg Se Sikhne Wali Bate

Computer Par WhatsApp Kaise Chalaye – Step By Step Hindi Me


Ek Fun Site bnayi- Facemash

2003 me ek din ki shaam ko Mark bimaar the us time unhen ek site bnane ka idea aaya. aur vo site thi Facemash. aur iske liye mark ne apne college Harvard ka database hack karne ki sochi jhan par students apni profile pictures upload karte the...
Tab mark ne aisa program bnaya joki kinhi do vyaktiyon ki tasviren select karke unmen se ‘kaun behter hai’ is par voting dene ka feature deta tha. Kuch hi dino me is site ko bahut se harvard’s students use karne lage aur isse us site ka server crash ho gya. Harvard college ki jankaari hack karne ke jurm me Mark ko computer hacking ki community ke aage pesh kiya gya. Aur ye btaya gya ki is trh ki harkaton se society me burai failti hai. us time Mark ko chod diya gya...


Facebook ki shuruaat

Mark ke dwara Facemash ka nirman karne se pehle hi Harvard ke ek student –Divya Narendra ke dimaag me specially harvard ke students ke liye ek social networking site bnane ka idea aaya tha. Is site ke dwara Harvard ke students aaps me baatein kar sakte the. Narendra ke is kaam me do judvaa bhai- Tyler aur Cameron Winklevoss unke sath the. In judvaa bhaiyon ke pita Howard Winklevoss ek successfull financial salahkaar the. Is kaam me inhone apne beton ko pura shyog diya..
Divya Narendra aur dono Judva bhai…
Isse is social networking site ko banane me kafi madad mili. Narendra ne decide kiya ki is project ka naam hoga- Harvard Connection (jise baad me badalkar ConnectU kar diya gya.) Is site ke member aaps me apni personal information, photos aur important links asaani se share kar sakte the.

Is site ki programming ka kaam Mark ko saunpa gya, Mark ne ise savikaar kar liya. Jab Mark Harvard Connection par kaam kar rahe the to unhen khud ka ek social network bnane ka behtrin idea aaya...


Facebook ka safar


Mark ne 4 February 2004 ko TheFacebook.com domain register kar liya. (Jise ki aaj Facebook ke naam se jana jata hai) lekin tab tak yeh kewal Harvard ke students ke liye hi thi.
jab unke social network par 4000 se jyada users registered ho gaye to Mark aur unke partner Eduardo Saverin ne ye mehsoos kiya ki ab unhen apne social network ke liye aur jyada Programmers ki aavshyakta hai. Isliye unhone  aur programmers ko bhi apni team me select kiya. Inmen se ek tha Mark ka padosi Darren Moskowitz, jisne Facebook Service ko Columbia University ke students ke liye bhi uplabdh karaya.

Ab ke smay me Facebook ke 60% shares Mark Zuckerberg ke naam, 35% Eduard Saverin ke naam aur 5% shares Darren Moskowitz ke naam hai. Mark ke ek friend Chris Hughes ko facebook ka press attache bnaya gya tha.

Kuch hi smay baad Facebook ki service Harvard ke students ke liye open ho gayi, lekin is par register hone ke liye .edu zone ka ek email address jaruri tha joki ye darshata hai ki student Education field se hai. jab bhi koi nya user is par register hota tha to use apne baare me detailed jankaari, .edu zone ka ek email address aur apna ek real photo add karna padta tha. Agar koi user apna real photo add karne ke bjaye koi avtaar add karta to uski profile ko delete kar diya jata.

Facebook jyada se jyada popular hota ja rha tha. Isliye Mark ne Facebook ke liye investors ko tlashna shuru kar diya. Mark ko Facebook ke liye sabse pehli investment mili Paypal ke co-Founder Peter Thiel se. Peter Thiel ne Facebook me $5 lakh ka nivesh kiya. Us time par ye Facebook ke liye kafi the.

Facebook ki lokpriyta teji se badhne lagi. Facebook ki shuruaat ke 1 saal se bhi kam smay me Facebook par 1 million users join ho gye the. Facebook ki aur development ke liye unhen aur investment ki avshyakta thi. Aur fir Accel Partners ne Facebook me $12.7 million ki aur Greylock partners ne Facebook me $27.5 million ka nivesh kiya.

2005 tak Facebook USA ki lagbhag sabhi universities ke students ke liye available ho chuka tha. Tab tak Mark bhi ise students ke liye hi social network mante the. Lekin Facebook ki lokpriyta ko dekhte hue Mark ne is social network ko sabhi logon ke liye open karne ke baare me socha aur yahin se iska naam TheFacebook ki jgah par Facebook pad gya.

Facebook ki lokpriyta bahut teji se badhti ja rahi thi, lekin abhi tak ye tay nahi ho paya tha ki Facebook ko monetize kaise kiya jayen. Pehle vichaar tha ki Context Advertisement Facebook ki monetization ke liye behter rahegi kyonki Users Facebook par apni detailed profile daalte the jisse unhen unke interests ke hisaab se advertisements dikhai jaa sakti thi.

Lekin Facebook apne users me ijafa karne par focus karti rahi. Jab Facebook ke users ki sankhya 50 million se jyada par pahunch gayi to badi badi companiyan Mark ko apna project bechne ke liye offer karne lage. Yhan tak ki Yahoo! ne bhi Facebook ke liye $900 million dollar dene ka offer kiya, joki ek bahut hi badi rakam thi. Lekin Mark ne iske liye mna kar diya..


Facebook ke Khilaaf Mukadme


ghotalo ke aarop lagne lage. Dono judva bhai Cameron aur Tyler Winklevoss aur Divya Narendra ne Mark par unke project HarvardConnection.com ka idea churane ka aarop lgaya. Unhone dava kiya ki Mark ne HarvardConnection ke Source Code ko Facebook ke liye istemaal kiya hai.

Usi Varsh dono judva bhaiyon aur Divya Narendra ne apna ek network launch kiya jiska naam rkha gya- ConnectU. Mark ne btaya ki HarvardConnection ka Facebook ki development se koi lena dena nahi hai. Dono bhaiyon aur Divya Narendra ne Mark par unka idea churane ko lekar mukadama dayar kiya lekin unke claim ko court dwara reject kar diya gya. Fir unhone ek aur mukadma dayar kiya- unke Source Code ko churane ka. Is baar Court ne Source Codes ko acche se check kiya ki kya ye vakai me churaye gye hai.

Lekin iske Results ko ghosit nahi kiya gya. 2009 me Mark 45$ million dollar unhen dene ke liye raji ho gye. Mark ne unhen $20 million cash ke rup me diye aur baki ke Facebook ke shares ke rup me. Case tab band ho gya. Us time par ConnectU ke users 100.000 ke se bhi kam the jabki Facebook ke users ki sankhya 150 million se bhi jyada ho chuki thi...


Facebook ne Instagram, Whatsapp aur Oculus Rift ko kharida

April 2012 me Mark ne Instagram ko $1 billion me kharid liya joki ek Photo Sharing App tha. Yeh app pehle kewal Ios ke liye uplabdh tha lekin ab yeh Android users ke liye bhi uplabdh hai.  Iske Founder hai- Kevin Systrom aur Mike Krieger.

March 2014 me Mark ne Oculus Rift ka $2 billion me adhigrahn kiya joki ek Virtuality Reality Hardware hai. Ise Oculus VR Company dwara bnaya gya tha jiske founder the Palmer Freeman Luckey.

October 2014 me Mark ne $22 billion me Whatsapp ko kharid liya. Yeh ek instant messaging app hai jiske founder hai- Jan Koum aur Brian Acton. Whatsapp ko 2009 me shuru kiya gya tha.

January 2010 me Mark ko Time Magazine dwara ‘Person of the Year‘ khitaab se nwaja gya.


2010 me Forbes dwara Mark ko ‘World’s youngest billionare‘ ka khitaab diya gya..


Mark Zuckerberg ki Personal Life

19 May 2012 ko Mark ne apni girlfriend Priscilla Chan se Palo Alto me shaddi ki. Priscilla Chan China se hai. 1 December 2015 ko Mark ek bacchi ke pita ban gaye. Is khushi me Mark ne Facebook ke apne 99% shares duniya ki bhalayi ke liye daan karne ka faishla kiya hai. In shares ki keemat karib $45 billion hai. Mark filhaal apni family ke sath Palo Alto me reh rahe hai...



Mark Zuckerberg Se Hame Kya Sikh Milti Hai Or Mark Zuckerberg Se Sikhne Wali Bate Agli Post Mai Bataunga..



Hi Friends...
Mai Hu Md Badiruddin
Agar Apko A Post A66a Laga Toh Comment Jarur Kare

No comments

Thank You